Monday, 14 November 2016

fazail e amaal ka jhoot- stories of sahaba

Assalam alaikum

Yahan Fazail e amaal ki kitab se hikayat e sahaba me chapter no. 5 story no.5 me ek wakya likha hai zakaria sahab ne.

kisi bhi tabligh jamat ke masjid me jake is kitab ko dekhiye

Aayiye dekhenge ke usme kya hai!!

zakaria sahab ne likha hai ke sahaba jung me teer par teer kharahe hai aur usi khoon ki halat me namaz pad rahe hai. jo ke ek achi baat hai jo namaz ki ehmiyat bayan ki hai zakaria sahab ne. jo hum sab musalmaan is par yakeen rakhte hai.

Ab india pakistan ke tabligh jamat wale a kehte hai ke khoon nikalke behne se wuzu toot jata hai. 
Toh kya sahaba ka wuzu toot gaya tha? kya wuzu toot jane se unki namaz bhi toot gayi thi?

Chaliye thoda aur dekhenge.
ab zakaria sahab ka kehna a hai imam abu hanifa ke nazdeek wuzu toot jata hai. aur imam shafai ke nazdeek nahi tootega. 

imam abu hanifa 80 hijri me aur imam shafai 150 hijri me paida huye.

aur zakaria sahab ne kaha hai ke shayad unka(sahaba) mazhab wahi raha hoga!
Kya us time me koi mazhab bhi tha ya sirf islam tha?
kya sahaba ka mazhab imam shafai ka mazhab tha nauzubillah? jo khoon benhe se wuzu nahi tootega.
agar sahaba ka mazhab me khoon behne se wuzu nahi tootega toh imam abu hanifa ka mazhab toh Nabi(swa) ke wafat ke 70 saal baad aya. 

toh iska kya saboot hai ke sahaba ke badan se khoon behne se sahaba dobara wuzu banaye? 
zakaria sahab ne aisa koi saboot toh nahi pesh kia hai fazail e amaal me. sirf a kehdia ke abu hanifa ke nazdeek jaiz hai.


No comments:

Post a Comment